Ab aise na wapas Jana hai, Gadi par laal bati, kandhe par star lgana hai... A journey for students to become an officer.
Patna Ke galiyan, Allahabad Ka katra se lekar Delhi ke Batra tak ek rang me samaya hai...
25 gaj ki kamro me umido ki chahat se khud ko tapaya hai....
koi banker, koi income tax officer to koi IPS aur IAS Ka sapne sajaya hai...
"Tu chinta na kriyu bapu" beto ne Ghar par kehkar ye aaya hai...
Maa ka bharosha jeet betiyon ne itni dur tak aai hai...
Hazaro gaon patariyon par chal Kar aaya hai...
tyoharon wale din bhi classes aur library me bitaya hai...
Jab aai Ghar ki yaad, kamre ko band Kar bhut aansu bahaya hai...
Ab koi Kami na reh Jaye, koi majburi na ban Jaye...
Bade sahro ke chaka choundh me na kho jana, koi kamjori na ban Jaye...
Thoda aur chalna hai thoda aur jalna hai, badlo se uper Suraj jaisa chamakna hai...
Bapu Ka chinta dur Karna, Maa Ka bhrosha badhana hai...
ab aise na wapas Jana hai, Gadi par laal bati, kandhe par star lgana hai...
Thoda aur mehnat Karna hai jab itna khud ko sataya hai...
Pura krenge har Sapna Jo sirf humne nhi, Pura gaon ne sajaya hai.
Maa saraswati se prarthna krta hu sabhi students par Mata Ka kripa Bani rahe aur unhe safalta mile.
Jai Mata saraswati๐
Student life is golden life❤️
ReplyDelete