Posts

"शहरों में लगे है कर्फ्यू , दिल पर हड़ताल कहां है...सुना है वीडियो कॉल से कोरोना नहीं होता..." Love what's App Status

Image
रूठने मनाने का वक़्त नहीं  एक दूजे का ख्याल जरूरी है,  दिल करता है लगा लू उन्हें गले, पर  चाह कर भी उनसे मिल नहीं सकता  बाहर जहरीले हवाएं है... उन्हें देखे बिना चैन कहां- सुना है वीडियो कॉल से कोरोना नहीं होता...  शहरों में लगे है कर्फ्यू , दिल पर हड़ताल कहां है , पता है उन्हें सब फिर भी तड़पाना उनकी अदाएं है ... #Lockdown #CoupleInCovid #CoronaEffect #kaiseaRaheAkele  #VideoCallSeCoronaNahiHota #StayAlone #StaySafe #StayHealthy #Love #Pyar #Dosti #Lonely #Missing #HindiLoveStatus #HindiLoveShayri #HindiShortSyory #BuntySuryaRaj #ImissYou #ILoveYou #FeelingLonely #VideoCall #ConnectDuringLockdown

"एक बार और आपको देखने की ख्वाईश है, सहर में एक बार फिर Lockdown लगने की गुंजाईश है...."

Image
एक बार और मिलने की एक बार और आपको देखने की ख्वाईश है  क्यूंकि सहर में एक बार फिर लॉकडाउन लगने की गुंजाईश है.... #Lockdown #CoronaEffect #Love #India #CoronaFreeIndia #CoupleInLockdown #IWantToSeeYou #IWangToMeetYou #Love #LoveShayri #LoveStatus #whatsAppLoveStatus #LoveInLockdown

Aye khuda karde raham ya karle ab hisab, in ankho se ab roya nhi jata. ye dard ye taqleef ab aur sha nhi jata.

Image
Aye Zindagi aur ye jism Tum dono me kya Jung chhid gai... Karlo apas me Jo bhi hai hisab, tum dono ki ladai ab mujhse Saha nhi jata. Aye Zindagi Teri khatir bachpan se is jism ko bachata raha... Na Kabhi khul ke barish Ka mzza na kbhi tez dhoop me, ab ye nautanki sha nhi jata. Garmiyon me ghumu thoda to jism Tu nraz ho jati, khaa Lu agar thodi ice-cream Zindagi Tu muh bna leti... Tum dono ki ladai ne Kai dafa mujhe taqleef di, Dosto ke Pas baithna tha, Doctoro ki sang bitane pade...Ghar me Jo Aram se sota, hospital me leta Diya. Ab ye dard ye taqleef aur Saha nhi jata... Wo Hans ke laga le gale to Har dard seh leta, lekin ye baat ab unse kha nhi jata... Thak sa gya hu Zindagi tujhse, ab jism ki dard batdast Kiya nhi jata... Aye khuda karde raham ya karle ab hisab, in ankho se ab roya nhi jata... Kehte hai woh ki Sab thik hoga, bs himmat mat harna... Ab kaise btaye unhe ki Kuch dard aise ho Jo unhe btaya nhi jata... Ye dard ye taqleef ab aur sha nhi jata... Ye dard aur ye taqleef ab Sah...

"Kisi ki respect krna unhe mohabbat krne se bhut jyada khubsoorat hota hai"

Image
Mera man lakh Mna kre, lekin kha ye Dil manta hai... Kaisa hai unse rishta ye sirf khuda janta hai... Har pal wo rhe samne, unse hi baate krta rhu bs yhi to Dil Chahta hai... Aisi lgi hai unki aadat, khi ho na Jaye unse mohabbat, isi baat Ka ab dar lgta hai... Ha pyar hai itna ki dil ke har kone me Unke Shiva Kisi aur k liye jagah na ban paye... Lekin Respect hai unki itni ki Dil ki ye baate dhadkano ko bhi na khabar ho Jaye... Na chahte huye bhi na Jane kaise ye bhool ho gai... Kisi din na dekhu unhe to bhut bechaini ho jati hai... Dil ki ye baate na Jane kaise ankho ko khabar ho gai... Khi aisa to nhi, na chahte huye bhi unse mohabbat ho gai.... Phir Dil ke usi kone se ek aur awaz aai, jis se unse ye rishta aur bhi khas ho gai... "Kisi ki respect krna unhe mohabbat krne se bhut jyada khubsoorat hota hai" #TrueRelationship #preciousRelation #FriendshipLove #Respect #Mohabbat #Love #Poetry #HindiShayri #BuntySuryaRaj #MyLove #TrueLove #FriendshipShayri #LoveShayri...

Jo Tu sang hai to Holi ke rang hai..."Adhuri Holi"

Image
Samne hokar bhi koi khwab hai to Sab Kuch berang hai... Koi milo dur rehkar bhi har pal sang hai, To har din Holi ke rang hai... Khele to bahut rang, lekin tere begair sab bhang hai... safed rang bhi chadh Jaye mujhpe agar tu sang hai... "Samne hokar bhi abhi tak kyun tu  khwab hai... chadh jaye tera nasha, jaise tu koi sharab hai..."                             Adhuri Holi # BuntySuryaRaj #Holi #AdhuriHoli #Story #LoveStory #Love #Shayri

Kisi bahane se hi Yaad krte rehna, aur Kisi Ka pta nhi, aap to sath rehna...

Image
Chalo sunata hu aaj ek sachhi kahani... Is kahani me na hai koi Raja na koi Rani... Na Mai Kisi Ka deewana na meri koi deewani... Beinteha pyar hai, jise mana Dil ke karib, sayad yhi hai nadani... Ye na Kisi bf - gf na Kisi premi - premika ki hai kahani... Bhagwan ne Kuch rishte bna Kar nhi bheje, Phir bhi is jahan me badi mishal Di jati hai, dosto se Dil lgana dosti nibhana, ye hai sachhe pyar ki Nishani... Ye baat us samay ki hai jab Mai 10, 11 me pdhta tha, Jha Kuch log ishqbaji me lge the ... whi mujhe padi thi Kisi se Dosti nibhani ki... Dost to koi bhi ho Sakta hai na, parents, siblings, cousins... par ye baat unki hai jinse Maine rishte jode...  Jo milte hi dil ke bhut karib aur bhut khas ban gye... Raat ke karib 11 ya 12 baj rhe the, station ki platform par Raat gujar rha tha... Paise bhi kha hote the us waqt itna... Bhookh bhi tez lagi thi, paise se kharid Kar Kuch kha to sakte the, itne hi paise the packet me... but Dil ne kha chalo krte hai unse baate, baat ho gai to pet...

Khud ki har gam chhupa lunga apni hansi se, bs Kisi Ka ankho me aansu na aye meri wajah se...

Image
He bhagwan bs yhi hai prarthna🙏 Mai ya meri baate na kare Kisi ko preshan,Na ho mujhse koi naraz na Kisi ka Dil dukhe meri wajah se... Kisi ke chehre par muskurahat Ka Karan banu ya na banu... Khud ki har gam chhupa lunga apni hansi se, bs Kisi Ka ankho me aansu na aye meri wajah se...

Ha mai koi "Heera" nhi hu,,,par sare johri thode hi hai....

Image
Kisi ne mujhe apna samjha, to kitne apno ne praya samjha... Kisi ke liye hu khusboo, phulon ki tarah, to kitno ko kanto ki tarah chubha... Koi ho jata hai mere ek aansu se dookhi, to kitno ne mere muskurate chehre ko rulaya... Jab hota hu akela koi ban ke saya mere sath khada hai, to kitne sath wale jrurat par sath chhod diya... Har kisi ne utna hi samjha mujhe jisko mujhse jitna jarurat padi hai... Kisi ke liye hu Anmol ye kaafi hai, chahe Kitno ko meri koi mol nhi hai... Ha mai koi "Heera" nhi hu,,,par sare johri thode hi hai.... #BeHappy#Motivation#MotivationalQuotes#SelfRespect#Love#shayri#BuntySuryaraj#Friendship#TrueFriendship#TrueLove#TrueRekationship#Relationship

Women aap har roop me ho Mahan..,Hum Dil se karte hai apko samman 🙏 Happy International women's Day.

Image
Kya krogi itna padh Kar, Khana hi to banana... Drive tumhare bass ki baat nhi.., Kisi na kisi ko udda dalogi... Aise dress kyun pehanti ho itni badi ho gai ho... Ab aage aur kyun Kuch karna, shadi hi to Karni hai... Tumhe job kyun karni, ab family aur bacchon ko kaun sambhalega... HAPPY INTERNATIONAL WOMEN'S DAY. 25% Discount on groceries. But unke freedom par koi discount Nahi... Free coupons on Women's clothing. Kbhi poochna unse unhe free coupons nhi, unhe respect chahiye wo bhi free nhi bs jitna wo deserve karti... "Mat Kato unke pankh, unhe bhi udne do... Jo Karna hai unhe, unhe bhi Karne do... Mat maro unhe jite jee, unhe bhi thoda jine do... Inke ander bhi hai ek Rani Lakshmi Bai, Mother Teresa aur Saniya Mirza, inhe bhi apna sapna Pura Karne do... Hai inke ander sahas, Kar Sakti hai har manjil ko par, inhe Suraj ki tarah chamakna do." Kya sach me sabhi women Happy hai...?????🙄🙄🙄 Socho zara.. So take apledge this women's day.!! We will let them acheive t...

Aadhi raat mohabbat mujhse takra gai.Samay tha Kuch Raat ke 12 bje,roj ki Tarah aaj v the abhi tak jge...

Image
Bachpan me khilone se pyar, thoda bada hua to dosto se attachment, jwani me ishq Ka shouk.... Par har pal hota hai koi ek, Jo humesha  parwaah krti rhi, khud Bina Khana khaye bujhati rahi meri bhookh.... Diwane to bhut dekhe Maine, kahani bhi bahut suni, Laila majnu to Heer Ranjhe ki... But pyar, mohabbat mujhe Jo ehsaas hua uski pehchan hai anokhi, kahani hai ye aadhi raat ki... Samay tha Kuch Raat ke 12 bje, roj ki Tarah aaj v the abhi tak jge... Maa ki tabiyat achanak thodi bigdi, Hua Mai yu preshan Jaise khud ki Jan Nikli... Behen ko jgaya, Maa ko medicine khilaya, samne wale flat ko v preshan Kiya jab tak Maa ko aram na Milli... Phir Maa ne kha Mai ab thik hu Tu so jaa,  Ab aap hi btao jis din Maa Behen ke sath train me aa rhi thi, us Puri Raat ek minute v nind na aai jab tak Maa ko Ghar station phuch Kar Ghar lekar na aaye... Aaj bhala kaise nind aati jab Maa ko thodi bhi taqleef Aaye... Phir ye samajh aaya, meri mohabbat meri pyar to Meri Maa hai Jo meri Jaan hai. ...