Aye khuda karde raham ya karle ab hisab, in ankho se ab roya nhi jata. ye dard ye taqleef ab aur sha nhi jata.
Aye Zindagi aur ye jism Tum dono me kya Jung chhid gai...
Karlo apas me Jo bhi hai hisab, tum dono ki ladai ab mujhse Saha nhi jata.
Aye Zindagi Teri khatir bachpan se is jism ko bachata raha...
Na Kabhi khul ke barish Ka mzza na kbhi tez dhoop me, ab ye nautanki sha nhi jata.
Garmiyon me ghumu thoda to jism Tu nraz ho jati, khaa Lu agar thodi ice-cream Zindagi Tu muh bna leti...
Tum dono ki ladai ne Kai dafa mujhe taqleef di, Dosto ke Pas baithna tha, Doctoro ki sang bitane pade...Ghar me Jo Aram se sota, hospital me leta Diya.
Ab ye dard ye taqleef aur Saha nhi jata...
Wo Hans ke laga le gale to Har dard seh leta, lekin ye baat ab unse kha nhi jata...
Thak sa gya hu Zindagi tujhse, ab jism ki dard batdast Kiya nhi jata...
Aye khuda karde raham ya karle ab hisab, in ankho se ab roya nhi jata...
Kehte hai woh ki Sab thik hoga, bs himmat mat harna...
Ab kaise btaye unhe ki Kuch dard aise ho Jo unhe btaya nhi jata...
Ye dard ye taqleef ab aur sha nhi jata...
Ye dard aur ye taqleef ab Saha nhi jata.
Comments
Post a Comment